Bachpan lautaya
Location
School ka phata hua bag almari me phir nikal aya hai
Lagta hai bachpan lautkar wapas aya hai
Nani ke yaha chutti me hafto rukna phir yaad aya hai
Lagta hai bachpan phir lautkar aya hai
School bunk karke picture dekhna phir yaad aya hai
Lagta hai bachpan phir lautkar aya hai
Barish ki chot ka zakham phir ubhar aya hai
lagta hai bachpan phir lautkar wapas aya hai
Birthday bombs ka dard peeth me phir uth aya hai
Lagta hai bachpan phir lautkar aya hai
Bahane ka pathri ka dard sachme kidney me Jag aya hai
Lagta hai bachpan phir lautkar aya hai
Keechad ka paani phir juto me bhar aya hai
Lagta hai bachpan phir lautkar aya hai
Mummy se chupaya hua exam paper phir haath aya hai
Lagta hai bachpan lautkar wapas aya hai
ae mere hum safar phir dil ki dhadkane badane aya hai
Lagta hai bachpan lautkar wapas aya hai
Simran ka raj ke liye intezar phir iconic dialogue ki yaad dilane aya hai
Lagta hai bachpan lautkar wapas aya hai
School ka furniture phir first crush ki yaad laya hai
Lagta hai bachpan lautkar wapas aya hai
Paani me doobi kashti ka kagaz phir paani me tair aya hai
Lagta hai bachpan lautkar wapas aya hai
School ke bahar ke chola bread phir dakar laya hai
Lagta hai bachpan lautkar wapas aya hai
Pados ka bakshi phir vyomesh bakshi ki trp laya hai
Lagta hai bachpan lautkar wapas aya hai
Kbc ka phone a friend phir friend ke ghar par rakhi tijori ki baat laya hai
Lagta hai bachpan lautkar wapas aya hai
Raste ka gobar phir behen ki roti hui shakal yaad laya hai
Lagta hai bachpan lautkar wapas aya hai
Building ka swimming pool phir talab ki dubki laya hai
Lagta hai bachpan lautkar wapas aya hai
dadaji ki tuti kubdi ka hissa phir cricket ki yaad laya hai
Lagta hai bachpan lautkar wapas aya hai